Aaj fir humara ek sapna toota.
Sapney to toot te hi rehte hein.
Aur hum bhi unke sang bhikhar te rehte hein
Nadan yeh dil jane sapne kyu dekhta hein?
Aap hume chor kar itne door nikal gaye...
Aur socha ke hum wohi pe rah jayenge?
Hum un me se nahi jo roye aur bhul jaye.
Hum un mein se hein jo hanse aur yaad kare.
Zindagi ke iss safar me kitni choti si zustajoo thi,
Hum ko pata bhi nahi chala aur khatam ho gayi.
Par jo bhi thi, bohot pyari si thi, thi bari hanseen.
Ab agey kya hoga woh to hume nehi pata,
Zindagi aansoon se kahan rukti hein?
Jo humare liye na ruka, hum unke liye nehi rukte hein.
PS: Forgive mistakes in Hindi, not very well versed in it. This came naturally in Hindi, I dont know why. So I wrote it down the way it arrived in the world.